Tuesday, November 11, 2008

Rishte

kyun kabhi kabhi kissi se kuchh sun-ne ko dil taras jaata hai? kyun kaano mein kissi ki aawaaz goonjti hai...? kya kissi se kuchh apeksha rakhna jayaz hai? insaan kissi ke liye kiss hadd tak jaa sakta hai? kya do logon ke beech mein hadein bhi hoti hain? agar haan toh yeh kaise rishte....? aur agar nahin toh rishton mein shartein kyun hoti hain? aur agar yeh galat hai toh jiss rishte mein shartein ho woh kya kehlaaye ga? agar kissi ko samjhaane ke bawajood aapki bhawanaon ki kadr na ho toh kya aisi bhawnaon ko khatam nahi kar dena chahiye?

aisa kyun hota hai ke jab kissi ke saath ki zaroorat ho tab woh sab se door hote hain?
faasle itne kyun hote hain? kyun koyee jab chahe tab kissi se ussi pal mil nahi sakta? kyun itne apno ke hote hue bhi kissi aur ki yaad aati hai? kyun inn "apno" ko chhoone se ghabrata hai dil? kya yeh apne hi hote hain yaan apno ki paribhasha kuchh aur hi hai? kyun dil kissi se kuchh kehna chahta hai lekin kabhi keh nahi paata? kya jisse woh kehna chahta hai woh sab samajh leta hai? kyun bina kahe hi kayee lafz aur khayaal bayaan ho jaate hain? kya joh inhe samajh lete hein woh "apne" hote hain? aur agar woh "apne" hain toh woh mujhse itna door kyun hain? aur joh mere paas hain aur "apne" kehlate hain ...... woh kaun hain?

No comments:

9 MKD - The fourth story on ordeals, trials and tribulations (the first part of a two series - Ordeals and then in the second part : Faith)

 It had been almost ten days since Abhi had been out on the operational reconnaissance (op-recce). His Commanding Officer had spelt out the ...